Showing posts with label eid e milad un nabi wallpapers HD. Show all posts
Showing posts with label eid e milad un nabi wallpapers HD. Show all posts

Monday, January 13, 2014

Eid-e-Milad Poster HD

Aaka ki Aamad Marhaba

Milad -e-Mustafa 2015

Maharba, Marhaba, Marhaba Ya Mustafa

Mard ka darhi mundwana ya ek muthi say ghatana
dunon haram hay. Islami Behan ka bay’pardagi karna
haram hay. Baray karam! Rabi-un-Noor sharef ki
barkat say Islami bhai hamesha k liye ek muthi or
Islami behnain mustaqil shari pardah or zah-e-qismat
Madani burqa pehnanay ki neyat karian.( Marad ka
darhi mundane ya ek muthi say ghatana or orat ka
bepardagi karna haram or foran toba kar kay in
gunaon say baz aana wajib hay)

Eid-e-Milad un Nabi 2015

Sarkar Ki Aamad Marhaba


Sulha ki ziyaratain or
Aashqan-e-Rasool k qurb ki barakatain hasil karon ga.
Jalus-e-Melaad mey ba imama or hattal-ul-imkan
Ba’wazu rahon ga.
Jalus k duran bhi Masjid ki namaz-e-ba’jamat tark nahi karon ga
Hasb-e-toufeq “Langar’e Rasail” ki tarkeb banaon ga(yani Maktaba-tul-Madina k matboa rasai-o-pamfalt neez sunnaton bharay bayanaat ki caystain ijtima-e-Melaad or jalus-e-Melaad
mey taqsem karo ga)
Infiradi koshish kartay howay kam az kam barah
Islami bhaion ko Madani qafilay mey safar ki dawat doon ga.
Jalus-e-Melaad mey hat’tal wasaa sara rasta zaban-o-ankh ka qufal-e-Madina lagaye, Naaton ki sama’at or Durood-osalam ki kasrat karon ga.

Eid-e-Milad Wallpaper 2015 HD

Marhaba Ya Mustafa

Yad rakhiye! Har neyak aamal mey sawab-e-akhirat kamanay ki neyat zarori hay warna sawab nahi mily ga. Jashan-e-wiladat mananay mey bhi sawab kamanay ki neyat zarori hay. Sawab ki neyar k liye aamal ka shariat k mutabiq or zewar-e-ikhlas say muziyan hona shart hay. Agar kisi nay dikahway or wah wah
karwanay ki khatir jashan-e-wiladat manaya, is k liye bijli ki chori ki, bi’jabar chanda wasol kiya, bila ijaza-e-shari’e Musalmano ko izaa di or haqooq-e-aama talaf kiye, marezon, sonay walon, or sheer khwar (yani dodh petay) bachon ko takleef honay ka elam honay k bawajod onchi awaz say laud
speaker chalaya to ab sawab ki neyar baykar hay bal’k ghunagar hay. Jis qadar achi achi neyatain ziada hoon gi usi qadar sawab bhi ziyada milay ga.


Friday, January 10, 2014

Saturday, January 4, 2014

Eid-e-Milad Banner 2015

Atay-e-Habib-e-Khuda Madani mahool
Hay Faizan-e-Ghous-o-Raza Madani mahool
Yahan sunnaten sikhnay ko milain gi
Delaye ga khof-e-Khuda Madani mahool
Yaqenan muqad’dar ka wo hay sikandar
Jisay khair say mil giya Madani mahool



Eid-e-Melaad-un-Nabi hay dil barha masror hay
Eid diwanon ki to barah Rabi-un-Noor hay
Har malak hay shad maan khush Aaj har ik hoor hay
Haan magar shaiytan m’a rufaqa bara ranjor hay


Eid-e-Milad HD Poster

Jashn-e-Wiladat Manamey Ka Sawab
Shaikh Abdul haq Muhadis dehlvi (radi allahu ta'ala anhu) farmatey hain:
Sarkar-e-Madina (sallallahu alaihi wasallam) ki wiladat ki raat khushi mananay walon ki jaza ye hay k Allah (Azzawajal) inhain fazal-o-karam say jannat-un-naeem mey dakhil farmay ga. Muslman hamesha say mehfil-e-melaad munaqad kartay aye hain. Or wiladat ki khushi mey dawatein detay, Khanay pakwatey or khob sadaqaho- Khiraat detay aaye hain. Khob khushi ka izhar kartay or dil khol kar kharch kartay hain or apnay makano ko sajatey hain or in tamam afaal-e-hasana ki barkat say un logon per Allah (Azzawajal)
rahmaton ka nuzol hota hay. (Ma sabat bisunna safah102 maltaqtan).



 Amad-e-Sarkar say zulmat hoi kafor hay

Kiya zameen kiya asmaan, har samat chaya noor hay


HD Eid-e-Milad 2015 Wallpaper

Mehbobe Rab-e-akbar tashrif la rahay hain
Aaj anbiya k dawar tashrif la rahay hain
Kyun hay faza muatar! Kyun roshni hay ghar ghar
Acha! Habeb-e-dawar tashrif la rahay hain
Eidon ki eid aa’e rahmat Khuda ki laa’e
Jud-o-sakhaa k paykar tashrif la rahay hain


Hoorain lagein taranay naaton k gunganay
Hoor-o-Malak k afsar tashrif laa rahay hain
Jo shah-e-bahro bar hain nabion k tajwar hain
Wo Amina teray ghar tashrif la rahay hain
Attar ab khushi say pholay naen samatay
Dunya mey in k dilbar tashrif la rahay hain


Eid-e-Milad 2015 Wallpaper HD

Bakhsh day ham ko Ilahi Bahr-e-Milad-un-Nabi
Namah-e-amal ‘Isyan say mayra bharpur hay


O Almighty, forgive me for Milad’s sake
Though my Book of Deeds is repleted with sins!