Saturday, January 4, 2014

HD Eid-e-Milad 2015 Wallpaper

Mehbobe Rab-e-akbar tashrif la rahay hain
Aaj anbiya k dawar tashrif la rahay hain
Kyun hay faza muatar! Kyun roshni hay ghar ghar
Acha! Habeb-e-dawar tashrif la rahay hain
Eidon ki eid aa’e rahmat Khuda ki laa’e
Jud-o-sakhaa k paykar tashrif la rahay hain


Hoorain lagein taranay naaton k gunganay
Hoor-o-Malak k afsar tashrif laa rahay hain
Jo shah-e-bahro bar hain nabion k tajwar hain
Wo Amina teray ghar tashrif la rahay hain
Attar ab khushi say pholay naen samatay
Dunya mey in k dilbar tashrif la rahay hain


No comments:

Post a Comment